Ay Khuzaima Qutbedin, Ay Noor-e chashm-e Saifedin,
Ho mubarak martaba ye kehte hain sab mumenin.
Aasmaan-e Dawat il-Haq ke darkhshan Qutb ho,
Is liye bakhsha laqab Saiful-huda ne Qutbuddin.
Khush huwe dekha urooj-e zohod aur ikhlaas jab,
Woh Imam-e Asr Tayyeb woh Shah-e duniya o deen.
Aap ne ilhaam phir ye apne Naa’ib ko kiya,
Qutbedin ko Izn ka do rutba ay Burhanuddin.
Aab-e ilme deen se sairaab sarwar ne kiya,
Aap par tha lutf-e shaah Saifuddin kulla heen.
Aap hai sargarm Mawla ki itaa’at mein sadaa,
Sarbasar masroof hai khidmaat mein sad-aafreen.
Aap ki sa’ye hamida se huwa qa’im ‘Shabaab’,
Aur taraqqi paa raha hai zere saaya khushtari.
Aap ne paai hai fann-e vaaz mein pukhtagi,
Har adaa pyaari hai aur lahjaa bohot hi dil nasheen.
Kyun mehak utthe na boo-e khulq se har ek dil,
Baagh-e dawat ke gul-etar hai Khuzaima Qutbuddin.
Dekhta hain jo baseerat se woh kehta hai yehi,
Dar haqeeqat Qutbedin hai hum-shabeeh-e Saifedin.
Hai doa Raghib khuda se umr sheh ki tul ho,
Saaye mein Burhanuddin ke khush rahe sab mumeneen.
(Shk. Ragib Rampuri p. 26)